Tuesday, August 25, 2009

Aqwal HAZRAT ALI (R.A)




Aqwaal'HAZRAT ALI (R.A) 
       
 Insan ka apne Dushman s inteqam ka sb sy acha tariqa ye he k woh apni  
 khubiyon me izafa kre.   
  ----------- 

 
  Wo gunah jis ka tumhein ranj ho,   
  ALLAH k nazdeeK us nayki se behtar hai    
  jis se tum main ghuroor paida ho jaye".      
  -----------

  
  Ager kisi ka zaraf azmana ho to usko ziada izat do 
  Wo ala zaraf hoa to ap ko or izat day ga     
  or kam zaraf hoa to khud ko AALA ZARAF sumjhey ga       
  ----------- 

 
  Aazmaye Hue Ko Azmana      
  Bewaqufi He. 
  ----------- 
   
  
sab se bara gunah wo he jo karne walay ki nazar me chota ho.
  -----------  
       
  Ghareeb wo hai jis ka koi dost na ho.      
  -----------  
       
  Jub meri DUA qubol ho tu mein khush hota houn     
  k is main meri marzi hai aur 
  Jub kabol na ho tu mein aur khus hota houn   
  k ye ALLAH ki marzi hai   
 
-----------  
       
  IKHTIYAR, TAAQAT aur DOULAT       
  aisi cheezain hain jin k milnay say log      
  badaltay nahin BAYNAQAB hotay hain.
  ----------   
       
  Agar tum kisi ko chota dekh rahe ho,      
  to tum use door se dekh rahe ho,     
  Ya phir gharoor se dekh rahe ho.

  -----------  
       
  ALLAH k nazdek sab say ziada gunah gar chez jhoot bolnay wali zuban he.
   ------------ 
   
  Mujhe Jannat se ziada     
  Masjid mein bethna Acha Lagta hai    
  kyunke Jannat mein mera NAFS khush ho ga    
  jab ke Masjid mein mera RAB khush ho ga.     
  -----------  

  Main Jannat K Shouq Main ebadat Nahe Kerta,       
  K Ye Ebadat Nahe Tijarat Hay 
  Main Dozakh K Khoof Say Ebadat Nahe Kerta,   
  K ye Ebadat Nahe.Ghulami Hai...      
  Main Ebadat Sirf Is Liye Kerta hon...
  K Mera RuB ebadat K LayeQ Hai.......     
  -----------  
       
  Aik Shakhs Ne Hazrat ALI (r.a) Sey Poocha, 
  Q: Qarib Kya Hai?    
  A: Qyamat    
  Q: Or Qareeb Ter?    
  A: Maut      
  Q: Ajeeb Kya HAi?    
  A: Duniya    
  Q: Aur Ajeeb Tar?    
  A: Talib-e-Duniya    
  Q: Wajib Kya Hai?    
  A; Toba      
  Q: Or Wajib Tar?     
  A: Gunah K Forun Bad Toba    
  Q: Mushkil Kya Hai?  

  A: Qaber Mein Utrna  
  Q: Or Mushkil Tar?   
  A: Amaal K Bagair Utrna
       
 -----------  
       
  Apni zuban ki tezi us per mat azmao jis ne tumhen bolna sekhaya.
  -----------  
 

  Sub se Ziyada Kamzor AADMI wo he Jo DOST ko HAASIL karne me Naakaam      
  ho,Aur us se bhi Ziyada Kamzor Wo he Jo Haath aai howe DOST ko ganwa de.  
  -----------  
       
   2 cheezein saari zindagi kaam ayengi,   
  1 = Ghussay ki halat mein koi faisla mat karo!       
  2 = Khushi ki haalat mein koi wada mat kro!  
  ----------   
       
   Insaan Bhi kitna Ajeeb Hy,
  Jab kisi Cheez se Darta Hy to Us se Dour Bhagta Hy.  
  Jab ALLAH    Sy Darta Hy to Us k Or Qreeb Ho Jata Hy.
  -----------  
       
  Dunya Daron ki Sohbat ikhtyar Na karo Q K Agar tu Tang-dast huwa to ye    
  tujhe Chorh Denge Or agar to Dolat-mand huwa to Tujh se Hasad karen gay.  
  -----------  
       
  Acha Dost Kitni Dafa Hi Kiyon Na Ruth Jaye Usay Mana Lena Chahiye!       
  Kiyon K Tasbi K Daney Kitni Dafa Hi Kiyon Na Bikhrein Chun Liye Jate 
  Hain!      
  -----------  
  Yeh na socho k ALLAH dua foran qabool kyun nahi karta,       
  yeh shukar karo k ALLAH hamaray gunaahon ki saza foran nahi deta.      
  -----------  
  4 Batain Elim Ka NIchour Hain,    
  1.) ALLAH Ki Itni Ebadat Karo Jitni Tumhain ALLAH Ki Zaroret Hay.      
  2.) ALLAH Ki Nafermani Itni Karo Jitna ALLAH K Azaab Per Saber Ker Saktey      
  Ho.. 
  3.) Dunya K Liye Itna Amal KAro Jitna K Tumhain Dunya Mian Rehna Hai,,       
  4.) Aakhrat K Liye Itna AMal Karo Jitna K Tmhain Wahan Rehna Hain....!!!     
  ------------ --------
       
  Buraee main kisi ka sath dena Ghatiyapan aur khuda ky sath badiyanti      
  hay.      
  ------------ 
       
  kisi ki madad kartay waqt us k chehray ki janib mat daikho, ho sakta      
  hay us ki sharminda ankhain tumharay dil main gharur ka beej bo dain.      
  ------------ 
       
  Ebadat esi kro jis se tumhari ROH ko maza aey Q k jo Ebadat dunya mai    
  maza na de wo Akhrat mai kia jAZAH deg...      
  -----------  
       
  Barish ka Qtra Seep or Saanp 2non k Munh mein Girta hai   
  Lekin SEEP usay MOTI Aur Saanp usay Zehr bna deta hai
  jis ka jesa Zarf wesi uski Takhliq.   
  ------------ 


  Tum acha karo aur zamana tum ko bura samjhe       
  ye tumaray haq main behtar he
  Bajaye es k tum bura karo aur
  zamana tum ko acha samjhe    
  ------------
 
  Jahan Sadaaqat Or Khuloos Nazar Aaye Wahaan Dosti Ka Hath Barhao Warna    
  Tumhari TANHAEE Tumhari Behtreen Saathi Hai. 
  ------------ 

  Bay shak dunya or akhrat ki misal 
  asay ha jasay 1 shaks ki 2 b v ian   
  hon 1 ko razi karta ha to dosri roth 
  jati ha.           
  ------------ 
  
  naikon ki suhbat ikhtiar karo nek ban jao gai, buron ki suhbat se 
  parhaiz karo badi se dor ho jao gai.
  ------------ 

  3 kaam kisi k dil main ap ki izat barhatay hain: 
  1- Salam karna.      
  2- Kisi ko jagah dena.       
  3- ASAL NAM SE PUKARNA.    
  ------------
 
  Achi zindagi guzar ny k 2 tareeqy hain.   
  1-Jo pasand hay usay hasil kr lo    
  ya Phr       
  2- Jo hasil hay usay pasand kr lo.   
  ------------
 
  3 Insan 3 chezon se mehroom rahenge       
  1.Ghusay wala Durust faisly se       
  2.Jhoota Izzat se    
  3.Jald baaz Kamyabi se.      
  ------------ 
 

  Agr Tm Usy Na Pa Sako Jise Tm Chahte Ho,Tu Usy Zror Pa Lena Jo Tmhe       
  Chahta Hy    
 
----------- ---     
       
  Logon Ki   
  Zaroraton Ka 
  Tum Se Wabasta       
  Hona Tum Per 
  ALLAH Ki  
  Enyat Hai.   
  Imam Hussain (r.a
)   
  ------------ --------- -    

  

 


No comments:

Post a Comment